Us k hatho sey jo khusbu-e-hina attee hai
Aisa lagta hai key janat sey hawa attee hai

Choomney daar ko kic dehaj sey chala hai koi
Aj kic naaz sey maaktil main kaza attee hai
Na kabhi koi karey tujh sey tairey jaisa salook
Hath uthatey hi yeh lab pey dua attee hai
Tairey gham ko yeh bharhana nahi rehney daitee
Mairee ankho main jo ashko ki rida attee hai
Us k chehrey ki timazat bhee hai shamil us mai
At  tappti huee sawan ki ghata atteee hai
Ghumney jab bhee tairey shehr main jati hai wafa
Bain kerti huee wapas woh sada attee hai
Hai wohi baat jo her ik lab pey bahut aam yaha
Hum sey jo khaitey huey un ko haya attee hai

Leave a Reply

All Rights are Reserved By A Pak Media Designed By WAQAS And Zeeshan Ali.
preload preload preload